arsa-e-ḳhvāb se uTh halqa-e-ta.abīr meñ aa
gum-shuda ro.ab-e-junūñ kāsa-e-tash.hīr meñ aa
intihā mabdā-e-hastī kī fanā hai yā baqā
ġhaur se dekhte haiñ baḳht kī tasvīr meñ aa
ai ḳharābāt-e-tanaffur ke pareshān makīñ
gar sukūñ chāhtā hai ishq kī ta.amīr meñ aa
hiddat-e-dīd nigāhoñ kī ibārat se nikal
aur yaḳh-basta mire rauzan-e-tahrīr meñ aa
chaḌh ke phir sar pe mire bole asīrī kā ḳhumār
qaid kar le mujhe phir zulf kī zanjīr meñ aa
ahd-e-māzī ke ḳhush-ā.ind bhaTakte lamhe
vaqt aa pahūñchā hai ab haal kī jāgīr meñ aa
jal-bujhe garmī-e-anfās se donoñ kā vajūd
gholne ḳhud ko mire qurb kī tāsīr meñ aa
lazzat-e-vasl ko hāsil ho zamīñ kī jannat
mujh se milne ke liye vādī-e-kashmīr meñ aa
zer-e-pā rakh ke sabhī aks-e-fusūn-e-taqdīr
phir javāñ hone ko gahvāra-e-tadbīr meñ aa
ai ḳhizāñ-zād agar chāhtā hai rizq-e-bahār
dāman-e-zīst liye rauza-e-shabbīr meñ aa
ājizī kahne lagī gar ho bulandī kī talab
dil jhukā dā.ira-e-na.ara-e-takbīr meñ aa
diyā ugte hue sūraj ne ye paiġhām 'nadīm'
in añdheroñ se nikal ḳhema-e-tanvīr meñ aa