Nadeem Sirsivi

giraft-e-karb se aazad ai dil ho hi jaunga

Nadeem Sirsivi

giraft-e-karb se āzād ai dil ho hī jā.ūñgā
abhī rasta huuñ maiñ ik roz manzil ho hī jā.ūñgā
utar jaane de vahshat mere sar se habs-e-ḳhalvat kī
maiñ bit-tadrīj phir mānūs-e-mahfil ho hī jā.ūñgā
gire gar mujh pe barq-e-iltifāt-e-chashm-e-tar har dam
to maiñ bil-jabr terī samt maa.il ho hī jā.ūñgā
ba-sad tarkīb rakkhe haiñ qadam tartīb se maiñ ne
agar tartīb ye bigḌī maiñ zaa.il ho hī jā.ūñgā
matā-e-jāñ to merī zaat kā hissa hai ik din maiñ
tū mil jā.egā to insān-e-kāmil ho hī jā.ūñgā
mirī mazlūmiyat kī raushnī har-sū bikharne de
sar-e-maqtal maiñ pesh-e-teġh-e-qātil ho hī jā.ūñgā
zarā sā Thahar jaa.eñ be-ḳhudī kī muztarib maujeñ
ai dasht-e-ġham maiñ ik ḳhāmosh sāhil ho hī jā.ūñgā
payambar dard kā ban ke tū gar duniyā meñ aa.egā
sahīfa ban ke ashkoñ kā maiñ nāzil ho hī jā.ūñgā
kahā us ne qarīb aa kar 'nadīm' ash.ār kī sūrat
rag-e-afkār meñ terī maiñ shāmil ho hī jā.ūñgā
Top Urdushayar.com