Nadeem Sirsivi

sarab-e-dil se musalsal fareb kha raha hun

Nadeem Sirsivi

sarāb-e-dil se musalsal fareb khā rahā huuñ
maiñ ek umr se apne ḳhilāf jā rahā huuñ
yaqīn-o-shak kī ajab kaifiyat se huuñ do-chār
bichhā rahā huuñ musallā kabhī uThā rahā huuñ
mirā ġhurūr hai ye ḳhāk-zādgī merī
maiñ phir farishto tumheñ baat ye batā rahā huuñ
tilism-e-lafz-o-ma.ānī ke pher meñ phañs kar
ba-shakl-e-nazm-o-ġhazal ḳhūn-e-dil bahā rahā huuñ
ḳhiyām-e-ashk meñ jhulsī paḌī hai koī mushk
maiñ apnī pyaas kā qissa use sunā rahā huuñ
bhulā ke saare taqāze radīf-e-maut ke maiñ
faqat hayāt kā har qāfiya nibhā rahā huuñ
Top Urdushayar.com