dukh judā.ī ke ḳhvāb ho jaa.eñ
dard saare gulāb ho jaa.eñ
aap baiTheñ jo mere pahlū meñ
log jal kar kabāb ho jaa.eñ
ek pal ko jo duur tum jaao
ashk mere kitāb ho jaa.eñ
mere lab par savāl aayā hai
terī āñkheñ javāb ho jaa.eñ
rābte meñ rahā karo tum bhī
na kahīñ dil ḳharāb ho jaa.eñ
jin parindoñ ko uḌnā aatā ho
un pe pinjre azaab ho jaa.eñ
us ke hāthoñ ke lams se 'iqrā'
ḳhaak reze gulāb ho jaa.eñ