Ameer Qazalbash

kahin salib kahin karbala nazar aae

Ameer Qazalbash

Delhi, India

1943-2003
kahīñ salīb kahīñ karbalā nazar aa.e
jidhar nigāh uThe zaḳhm sā nazar aa.e
bujhī hai pyaas zamīñ kī to ye tapish kyuuñ hai
vo abr hai to barastā huā nazar aa.e
bajā hai apnī aqīdat magar savāl ye hai
vo aadmī ho to kyūñkar ḳhudā nazar aa.e
chalo ki gher leñ us ko lahū lahū chehre
har ek samt use aa.ina nazar aa.e
hamīñ ne tan se judā kar liyā hai sar apnā
bas ek ham the jo sab se judā nazar aa.e
kahāñ kahāñ abhī imkān-e-zindagī hai 'amīr'
dhuāñ chhaTe to koī rāsta nazar aa.e
Top Urdushayar.com