Ameer Qazalbash

nadi ke par ujala dikhai deta hai

Ameer Qazalbash

Delhi, India

1943-2003
nadī ke paar ujālā dikhā.ī detā hai
mujhe ye ḳhvāb hamesha dikhā.ī detā hai
baras rahī haiñ aqīdat kī badliyāñ lekin
shu.ūr aaj pyāsā dikhā.ī detā hai
charāġh-e-manzil-e-fardā jalā.egā ik roz
vo rāhgīr jo tanhā dikhā.ī detā hai
tirī nigāh ne halkā sā naqsh chhoḌā thā
magar ye zaḳhm to gahrā dikhā.ī detā hai
kisī ḳhayāl kī mish.al kisī sadā kā charāġh
har ek samt añdherā dikhā.ī detā hai
'amīr' pūchh rahā huuñ ġham-e-zamāna se
hamāre ghar meñ tujhe kyā dikhā.ī detā hai
Top Urdushayar.com