ġham par haiñ ta.ana-zan to ḳhushī bhī nibhā.iye
sarkār merī bāda-kashī bhī nibhā.iye
motī se ashk aap ke qadmoñ ko the aziiz
sūkhe hue laboñ kī hañsī bhī nibhā.iye
pahle to mauj-e-gul thī mire har ḳhayāl meñ
ab fikr kī ye sho.ala-ravī bhī nibhā.iye
ye kyā ki aap sirf parastish kareñ qubūl
ma.abūd-e-shahr merī ḳhudī bhī nibhā.iye
be-shak huzūr sāqī-e-bazm-e-bahār haiñ
lekin ḳhud apnī tishna-labī bhī nibhā.iye
haañ in hasīn ā.ankhoñ meñ raqsāñ hai zindagī
palkoñ kī ho sake to namī bhī nibhā.iye
shahzād-gān-e-mumlikat-e-husn ke tufail
ham shā.iroñ kī kaj-kulahī bhī nibhā.iye