Ameer Qazalbash

chalo ki KHud hi karen ru-numaiyan apni

Ameer Qazalbash

Delhi, India

1943-2003
chalo ki ḳhud hī kareñ rū-numā.iyāñ apnī
saroñ pe le ke chaleñ kaj-kulāhiyāñ apnī
sabhī ko paar utarne kī justujū lekin
na bādbāñ na samundar na kashtiyāñ apnī
vo kah gayā hai ki ik din zarūr ā.ūñgā
zarā qarīb se dekhūñgā dūriyāñ apnī
mire paḌos meñ aise bhī log baste haiñ
jo mujh meñ DhūñD rahe haiñ burā.iyāñ apnī
mujhe ḳhabar hai vo merī talāsh meñ hogā
maiñ chhoḌ aayā huuñ ik baat darmiyāñ apnī
maiñ buuñd buuñd kī ḳhairāt kab talak māñgūñ
sameT lā.ūñ samundar se sīpiyāñ apnī
mire kahe hue lafzoñ kī qadr-o-qīmat thī
maiñ apne kaan meñ kahne lagā azaañ apnī
karegā sar vahī is dasht-e-be-karāñ ko 'amīr'
jalā ke aa.e jo sāhil pe kashtiyāñ apnī
Top Urdushayar.com