Ameer Qazalbash

dard ka shahr kahin karb ka sahra hoga

Ameer Qazalbash

Delhi, India

1943-2003
dard kā shahr kahīñ karb kā sahrā hogā
log vāqif the koī ghar se na niklā hogā
vo jo ik shaḳhs ba-zid hai ki bhulā do mujh ko
bhuul jā.ūñ to usī shaḳhs ko sadma hogā
aañkh khulte hī bichhaḌ jā.egā har manzar-e-shab
chāñd phir sub.h ke maqtal meñ akelā hogā
jin ujāloñ kī taraf dauḌ rahī hai duniyā
un ujāloñ meñ qayāmat kā añdherā hogā
ek ummīd har ik dar pe liye jaatī hai
ye mirā shahr thā koī to shanāsā hogā
Top Urdushayar.com