Ameer Qazalbash

KHauf ban kar ye KHayal aata hai aksar mujhko

Ameer Qazalbash

Delhi, India

1943-2003
ḳhauf ban kar ye ḳhayāl aatā hai aksar mujh ko
dasht kar jā.egā ik roz samundar mujh ko
maiñ sarāpā huuñ ḳhabar-nāma-e-imroz-e-jahāñ
kal bhulā de na ye duniyā kahīñ paḌh kar mujh ko
har nafas mujh meñ taġhayyur kī havā.e larzāñ
murtasim kar na sakā koī bhī manzar mujh ko
apne sāhil pe maiñ ḳhud tishna-dahan baiThā huuñ
dekh dariyā kī tarā.ī se nikal kar mujh ko
mire saa.e meñ bhī mujh ko nahīñ rahne degā
mere hī ghar meñ rakhegā koī be-ghar mujh ko
kārgar koī bhī tadbīr na hone degā
kyā muqaddar hai ki le jā.egā dar-dar mujh ko
kaam aa.egī na bedār-nigāhī bhī 'amīr'
ḳhvāb kah jā.egā ik din mirā paikar mujh ko
Top Urdushayar.com