zabāñ hai magar be-zabānoñ meñ hai
nasīhat koī us ke kānoñ meñ hai
chalo sāhiloñ kī taraf ruḳh kareñ
abhī to havā bādbānoñ meñ hai
zamīñ par ho apnī hifāzat karo
ḳhudā to miyāñ āsmānoñ meñ hai
na jaane ye ehsās kyuuñ hai mujhe
vo ab tak mire pāsbānoñ meñ hai
sajā to liye ham ne dīvār-o-dar
udāsī abhī tak makānoñ meñ hai
havā ruḳh badaltī rahe bhī to kyā
parinda to apnī uḌānoñ meñ hai