nazar meñ har dushvārī rakh
ḳhvāboñ meñ bedārī rakh
duniyā se jhuk kar mat mil
rishtoñ meñ hamvārī rakh
soch samajh kar bāteñ kar
lafzoñ meñ tahdārī rakh
fuTpāthoñ par chain se so
ghar meñ shab-bedārī rakh
tū bhī sab jaisā ban jā
biich meñ duniyā-dārī rakh
ek ḳhabar hai tere liye
dil par patthar bhārī rakh
ḳhālī haath nikal ghar se
zād-e-safar hushyārī rakh
sher sunā aur bhūkā mar
is ḳhidmat ko jaarī rakh