aaj kī raat bhī guzrī hai mirī kal kī tarah
haath aa.e na sitāre tire āñchal kī tarah
hādsa koī to guzrā hai yaqīnan yaaro
ek sannāTā hai mujh meñ kisī maqtal kī tarah
phir na niklā koī ghar se ki havā phirtī thī
sañg hāthoñ meñ uThā.e kisī pāgal kī tarah
tū ki dariyā hai magar merī tarah pyāsā hai
maiñ tere paas chalā ā.ūñgā bādal kī tarah
raat jaltī huī ik aisī chitā hai jis par
terī yādeñ haiñ sulagte hue sandal kī tarah
maiñ huuñ ik ḳhvāb magar jāgtī āñkhoñ kā 'amīr'
aaj bhī log gañvā deñ na mujhe kal kī tarah