Ameer Qazalbash

pain har ek rah-guzar par udasiyan

Ameer Qazalbash

Delhi, India

1943-2003
pā.īñ har ek rāh-guzar par udāsiyāñ
niklī huī haiñ kab se safar par udāsiyāñ
ḳhvābīda shahr jāgne vaalā hai lauT aao
baiThī huī haiñ shaam se ghar par udāsiyāñ
maiñ ḳhauf se laraztā rahā paḌh nahīñ sakā
phailī huī thiiñ ek ḳhabar par udāsiyāñ
sūraj ke haath sabz qabāoñ tak aa ga.e
ab haiñ yahāñ har ek shajar par udāsiyāñ
apne bhī ḳhatt-o-ḳhāl nigāhoñ meñ ab nahīñ
is tarah chhā ga.ī haiñ nazar par udāsiyāñ
phailā rahā hai kaun kabhī sochtā huuñ maiñ
ḳhvāboñ ke ek ek nagar par udāsiyāñ
sab log ban ga.e haiñ agar ajnabī to kyā
chhoḌ ā.eñgī mujhe mire dar par udāsiyāñ
Top Urdushayar.com