apne hamrāh ḳhud chalā karnā
kaun aa.egā mat rukā karnā
ḳhud ko pahchānñe kī koshish meñ
der tak aa.ina takā karnā
ruḳh agar bastiyoñ kī jānib hai
har taraf dekh kar chalā karnā
vo payambar thā bhuul jaatā thā
sirf apne liye duā karnā
yaar kyā zindagī hai sūraj kī
sub.h se shaam tak jalā karnā
kuchh to apnī ḳhabar mile mujh ko
mere baare meñ kuchh kahā karnā
maiñ tumheñ āzmā.ūñgā ab ke
tum mohabbat kī intihā karnā
us ne sach bol kar bhī dekhā hai
jis kī aadat hai chup rahā karnā