mire junūñ kā natīja zarūr niklegā
isī siyāh samundar se nuur niklegā
girā diyā hai to sāhil pe intizār na kar
agar vo Duub gayā hai to duur niklegā
usī kā shahr vahī mudda.ī vahī munsif
hameñ yaqīñ thā hamārā qusūr niklegā
yaqīñ na aa.e to ik baat pūchh kar dekho
jo hañs rahā hai vo zaḳhmoñ se chuur niklegā
us āstīn se ashkoñ ko pochhne vaale
us āstīn se ḳhanjar zarūr niklegā