band āñkhoñ se vo manzar dekhūñ
reg-e-sahrā ko samundar dekhūñ
kyā guzartī hai mire baad us par
aaj maiñ us se bichhaḌ kar dekhūñ
shahr kā shahr huā patthar kā
maiñ ne chāhā thā ki muḌ kar dekhūñ
ḳhauf tanhā.ī ghuTan sannāTā
kyā nahīñ mujh meñ jo bāhar dekhūñ
hai har ik shaḳhs kā dil patthar kā
maiñ jidhar jā.ūñ ye patthar dekhūñ
kuchh to andāza-e-tūfāñ ho 'amīr'
naav kāġhaz kī chalā kar dekhūñ