nazar aane se pahle Dar rahā huuñ
ki har manzar kā pas-manzar rahā huuñ
mujhe honā paḌegā reza reza
maiñ sar se paañv tak patthar rahā huuñ
kisī ko kyuuñ maiñ ye ezaaz baḳhshuñgā
maiñ ḳhud apnī hifāzat kar rahā huuñ
mujhī ko sruḳh-rū hone kā haq hai
ki maiñ apne lahū meñ tar rahā huuñ
mire ghar meñ to koī bhī nahīñ hai
ḳhudā jaane maiñ kis se Dar rahā huuñ
maiñ kyā jānūñ gharoñ kā haal kyā hai
maiñ saarī zindagī bāhar rahā huuñ
ta.alluq hai isī bastī se merā
hamesha se magar bach kar rahā huuñ