har ek haath meñ patthar dikhā.ī detā hai
ye zaḳhm ghar se nikal kar dikhā.ī detā hai
sunā hai ab bhī mire haath kī lakīroñ meñ
najūmiyoñ ko muqaddar dikhā.ī detā hai
ab inkisār bhī shāmil hai vaz.a meñ us kī
use bhī ab koī ham-sar dikhā.ī detā hai
girā na mujh ko mire ḳhvāb kī bulandī se
yahāñ se mujh ko mirā ghar dikhā.ī detā hai
jahāñ jahāñ bhī hai nahr-e-furāt kā imkāñ
vahīñ yazīd kā lashkar dikhā.ī detā hai
ḳhudā ke shahr meñ phir koī sañgsār huā
jise bhī dekhiye patthar dikhā.ī detā hai
'amīr' kis ko batāoge kaun mānegā
sarāb hai jo samundar dikhā.ī detā hai