merī pahchān hai kyā merā pata de mujh ko
koī ā.īna agar hai to dikhā de mujh ko
tujh se miltā huuñ to aksar ye ḳhayāl aatā hai
is bulandī se agar koī girā de mujh ko
kab se patthar kī chaTTānoñ meñ huuñ gumnām o asiir
devtāoñ kī tarah koī jagā de mujh ko
ek ā.īna sar-e-rāh liye baiThā huuñ
jurm aisā hai ki har shaḳhs sazā de mujh ko
in andheroñ meñ akelā hī jalūñgā kab tak
koī shai tū bhī to ḳhurshīd-numā de mujh ko