Ameer Qazalbash

aankhen khuli hui hain to manzar bhi aaega

Ameer Qazalbash

Delhi, India

1943-2003
āñkheñ khulī huī haiñ to manzar bhī aa.egā
kāñdhoñ pe tere sar hai to patthar bhī aa.egā
har shaam ek mas.ala ghar bhar ke vāste
bachcha ba-zid hai chāñd ko chhū kar bhī aa.egā
ik din sunūñgā apnī samā.at pe āhaTeñ
chupke se mere dil meñ koī Dar bhī aa.egā
tahrīr kar rahā hai abhī hāl-e-tishnagāñ
phir is ke baad vo sar-e-mimbar bhī aa.egā
hāthoñ meñ mere parcham-e-āġhāz-e-kār-e-ḳhair
merī hatheliyoñ pe mirā sar bhī aa.egā
maiñ kab se muntazir huuñ sar-e-rahguzār-e-shab
jaise ki koī nuur kā paikar bhī aa.egā
Top Urdushayar.com