Ameer Qazalbash

naqsh pani pe bana ho jaise

Ameer Qazalbash

Delhi, India

1943-2003
naqsh paanī pe banā ho jaise
zindagī mauj-e-balā ho jaise
mujh se bach bach ke chalī hai duniyā
mere nazdīk ḳhudā ho jaise
koī tahrīr mukammal na huī
mujh se har lafz ḳhafā ho jaise
kis qadar shahr meñ sannāTā hai
ab ke koī na bachā ho jaise
is tarah puuj rahī hai duniyā
koī mujh se bhī baḌā ho jaise
raah miltī hai andheroñ meñ mujhe
koī masrūf-e-duā ho jaise
mujh ko aksar ye huā hai mahsūs
koī kuchh pūchh rahā ho jaise
ghar se is tarah nikal aa.e 'amīr'
koī dushman na rahā ho jaise
Top Urdushayar.com