Ameer Qazalbash

na puchh manzar-e-sham-o-sahar pe kya guzri

Ameer Qazalbash

Delhi, India

1943-2003
na pūchh manzar-e-shām-o-sahar pe kyā guzrī
nigāh jab bhī haqīqat se āshnā guzrī
hamāre vāste vīrāni-e-nazar har sū
hamīñ ne dasht sajā.e hamīñ pe kyā guzrī
na jaane kaisī haqīqat kā aa.ina huuñ maiñ
nazar nazar mire nazdīk se ḳhafā guzrī
ye zard ho ga.e kaise hare bhare ashjār
jo log saa.e meñ baiThe the un pe kyā guzrī
ġhurūb hotī rahīñ us kī nekiyāñ din meñ
har ek raat gunāhoñ kī be-sazā guzrī
jalā rahā thā sar-e-shām mish.aleñ koī
tamām raat ulajhtī huī havā guzrī
na dekh pāoge be-manzarī ujāloñ kī
ye raat Dhalne lagī to koī sadā guzrī
Top Urdushayar.com