Ameer Qazalbash

kya KHaridoge chaar aane mein

Ameer Qazalbash

Delhi, India

1943-2003
kyā ḳharīdoge chaar aane meñ
aqlmandī hai ghar na jaane meñ
tabsira kar rahe haiñ duniyā par
chand bachche sharāb-ḳhāne meñ
pursish-e-hāl kar rahe haiñ log
kyā bigaḌtā hai muskurāne meñ
ai musavvir ye surḳh-rū chehra
aisī tasvīr is zamāne meñ
ghar meñ andher kar gayā koī
der kar dī charāġh laane meñ
chhup ke baiThī huī hai maut kahīñ
zindagī tere shāmiyāne meñ
be-libāsī nasīb hai us kā
ḳhvāb buntā hai kār-ḳhāne meñ
Top Urdushayar.com