basar honā bahut dushvār sā hai
ye shab jaise kisī kī bad-duā hai
andhere moḌ par mujh sā hī koī
na jaane kaun hai kyā chāhtā hai
ik aisā shaḳhs bhī hai bastiyoñ meñ
hameñ ham se ziyāda jāntā hai
panāheñ DhūñDne niklī thī duniyā
savā neze pe sūraj aa gayā hai
abhī tak surḳh hai miTTī yahāñ kī
jahāñ maiñ huuñ vo shāyad karbalā hai
ḳhushī kī lahr dauḌī dushmanoñ meñ
vo shāyad dostoñ meñ ghir gayā hai
ka.ī din ho ga.e haiñ chalte chalte
ḳhudā jaane kahāñ tak rāsta hai