ab ayādat ko mirī koī nahīñ aa.egā
phir huuñ bīmār kisī ko na yaqīñ aa.egā
ġham musalsal ho to ahbāb bichhaḌ jaate haiñ
ab na koī dil-e-tanhā ke qarīñ aa.egā
apne ḳhvāboñ ke darīchoñ meñ jalā lo sham.eñ
aur ye soch lo ik māh-jabīñ aa.egā
phir nigār-e-chaman-e-vādī-e-fardā-e-bahār
gul-ba-dast-e-mah-o-anjum ba-jabīñ aa.egā
zehn-e-tāza ke liye sāz-e-haqīqat chheḌo
chain ise sirf taḳhayyul se kahīñ aa.egā
sirf apne hī azā.em pe bharosa kar le
kaam koī bhī na ai qalb-e-hazīñ aa.egā
roz puujā ke liye phuul sajātā hai 'salām'
jaane kab us kā ḳhudā sū-e-zamīñ aa.egā