Salam Machhli shahri

na mauj-e-baada na zulfon na in ghaTaon ne

Salam Machhli shahri

Machli shahar, Uttar pradesh, India

1921-1973
na mauj-e-bāda na zulfoñ na in ghaTāoñ ne
mujhe Dasā hai mirī shola-zā navāoñ ne
ġham-e-hayāt se Takrā ke giit ban jaanā
sikhā diyā hai mujhe aap kī duāoñ ne
jo kaj-kulāh-e-dayār-e-tarab haiñ sab kuchh haiñ
mujhe to luuT liyā hai mirī vafāoñ ne
kabhī kabhī to sunā hai hilā diye haiñ mahal
hamāre aise ġharīboñ kī iltijāoñ ne
tumhārā husn ho yā merī shā.erī un ko
amar kiyā hai mohabbat kī ātmāoñ ne
ġham-e-hayāt o ġham-e-dil bahut sahī lekin
koī savāl kiyā hai abhī ghaTāoñ ne
kisī chaman kisī gul-pairahan ke ghar jaa.eñ
mujhī ko taak liyā madh-bharī havāoñ ne
ajiib baat hai maiñ jab bhī kuchh udaas huā
diyā sahārā harīfoñ kī bad-duāoñ ne
maiñ but-kadoñ se maqābir meñ girne vaalā thā
magar sambhāl liyā ḳhush-nazar ḳhudāoñ ne
ḳhabar hai garm ki ik tark-e-lucknow ko 'salām'
asiir kar liyā dillī kī apsarāoñ ne
Top Urdushayar.com