kal lag rahā thā mujh ko ki be-dast-o-pā huuñ maiñ
aur aaj phir se pairoñ pe apne khaḌā huuñ maiñ
kuchh gaam maslahat kī bhī rah par chalā huuñ maiñ
kahne ko rāhgīr rah-e-shauq kā huuñ maiñ
ohde ko maiñ kisī ke kabhī pūjtā nahīñ
kirdār hī ke aage hamesha jhukā huuñ maiñ
ash.ār mere kyā haiñ faqat kuchh ta.assurāt
duniyā agar kitāb hai to hāshiya huuñ maiñ
bezār ho sakeñge na ik dūsre se ham
tū merā aa.ina hai tirā aa.ina huuñ maiñ