vahī dorāhā vahī kashmakash kidhar jaa.eñ
jahāñ ke saath ki phir dil kī raah par jaa.eñ
khilā sakeñ na koī phuul ham agar na sahī
chaman se jaate hue ḳhaar kam to kar jaa.eñ
charāġh-e-josh havā-e-balāġh ne phūñkā
na jaane umr ke saath aur kyā hunar jaa.eñ
kyuuñ āñkhoñ āñkhoñ talak silsila rahe mahdūd
aa ek dūsre ke dil meñ ham utar jaa.eñ
diyā thā hukm ye jaise kisī ne āñdhī ko
ki sirf kachche makānoñ ke bām-o-dar jaa.eñ