merī āñkhoñ kā ḳhvāb thā koī
ruuh kā iztirāb thā koī
hai faqat aaj dil meñ tanhā.ī
kal talak be-hisāb thā koī
chāñd ġhairat se chhup gayā kal bhī
chhat pe phir be-naqāb thā koī
ham jise chuum kar hue zaḳhmī
ḳhaar jaisā gulāb thā koī
un kī mahfil meñ jo huā rusvā
ham sā ḳhāna-ḳharāb thā koī
kyuuñ ye 'zuhaib' chaḌh gayā suulī
ishq kā inqalāb thā koī