Zoheb Amrohvi

mohabbat mein meri hoga asar aahista aahista

Zoheb Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1987
mohabbat meñ mirī hogā asar āhista āhista
haañ tum ho jāoge mere magar āhista āhista
naqāb us ne haTā.ī apne chehre se zarā aise
ki badlī se nikaltā ho qamar āhista āhista
bhalā kaise bacheñ ham vaar se us ke batāo tum
ye jhuk kar uTh rahī hai jo nazar āhista āhista
dabī chiñgāriyāñ dil kī kuredo mat adāoñ se
kahīñ sho.ala na ban jaa.e sharar āhista āhista
maiñ hāl-e-dil batā to duuñ magar rusvā.ī kā Dar hai
idhar kī baat hotī hai udhar āhista āhista
huā 'zuhaib' dīvāna kisī ke ishq meñ dekho
galī-kūchoñ meñ phailegī ḳhabar āhista āhista
Top Urdushayar.com