jab ḳhayāloñ meñ tumheñ paas biThā.ūñ aksar
miir ke sher hoñ lab par unheñ gā.ūñ aksar
dafn kar ke sabhī va.adoñ ko jahāñ bichhḌe the
vo shajar dekhne jaatī huuñ maiñ gaañv aksar
maiñ gilā kaise karūñ tum ne mujhe rauñdā hai
apne saa.e pe bhī aa jaatā hai paañv aksar
jab tire ba.ad tirā hijr satā.e mujh ko
tujh ko maiñ yaad karūñ bhuul bhī jā.ūñ aksar
kaisā rishta hai mirā tum se mujhe ilm nahīñ
tum agar rūTho to maiñ ḳhud ko manā.ūñ aksar
merā da.avā hai tujhe chhoḌ diyā hai maiñ ne
phir tirā zikr hī kyuuñ sheroñ meñ lā.ūñ aksar
'āfiya' aa.ina dekhā hī nahīñ muddat se
ḳhud se maiñ ba.ad tire aañkh churā.ūñ aksar