ban ga.ī hai maut kitnī ḳhush-adā mere liye
sar jhukā kar phuul karte haiñ duā mere liye
tum na murjhāo to kaliyo kal batā denā use
kuchh samajh kar khoī khoī hai sabā mere liye
maiñ to bas un ke hī rañg-o-nūr kā akkās thā
muztarib hai kyuuñ sitāroñ kī ziyā mere liye
merī hī ḳhātir thā ahd-e-tark-e-ārā.ish magar
phir vo aa.e haiñ kanār-e-ā.ina mere liye
jagmagā uThtī hai dil meñ ik muqaddas raushnī
jab nahīñ hotā kahīñ bhī aasrā mere liye
sochtā huuñ phir uThā luuñ barbat-e-kohna 'salām'
muntazir hai sher-o-naġhma kā ḳhudā mere liye