kisī ne terī sūrat dekh lī hai
yahī samjho qayāmat dekh lī hai
abhī anjām-e-dil ma.alūm kyā hai
ajī tum ne to aafat dekh lī hai
ki iizā hijr kī dekhī kahāñ thī
faqat terī badaulat dekh lī hai
churātā hai vo kāfir aañkh mujh se
nigāh-e-chashm-e-hasrat dekh lī hai
sharāfat aaj ham ne tark kar dī
zamāne kī sharāfat dekh lī hai
zarā shikva kiyā thā aaj un se
are ulTī nadāmat dekh lī hai
sambhal jaao miyāñ 'zuhaib' tum bhī
tumhārī sab ne aadat dekh lī hai