kitnā saada shabāb lagtī ho
ek taaza gulāb lagtī ho
aap husn-o-jamāl kī sūrat
ek shā.ir kā ḳhvāb lagtī ho
āsmāñ ke sabhī sitāroñ meñ
ik tumhīñ āftāb lagtī ho
kyuuñ nasha ban ke chaḌh ga.iiñ mujh par
haañ purānī sharāb lagtī ho
zulf uljhī huī hai sāvan sī
barsā barsā shabāb lagtī ho
jis pe har baar maiñ aTaktā huuñ
vo savāl ai hisāb lagtī ho
chāñd chhuptā hai tum se sharmā kar
kitnī tum lā-javāb lagtī ho
ek muddat dabī dabī rah kar
aaj tum inqalāb lagtī ho
mujh ko dekhā jo saath ġhairoñ ke
tum to jal kar kabāb lagtī ho
ab ḳhayāloñ meñ bhī nahīñ ho tum
ik mukammal azaab lagtī ho
tum ne 'zuhaib' ko jo Thukrāyā
ḳhud bhī ḳhāna-ḳharāb lagtī ho