jafā dekhnī thī sitam dekhnā thā
nasīboñ meñ rañj-o-alam dekhnā thā
vo aate na aate shab-e-va.ada lekin
mujhe de ke sar kī qasam dekhnā thā
ḳhajālat huī us ke kūche meñ kyā kyā
mujhe pahle naqsh-e-qadam dekhnā thā
mujhe dekhnī terī himmat thī saaqī
bahut dekhnā thā na kam dekhnā thā
kaTī shām-e-furqat 'azīz' aah kyūñ-kar
zarā ā.īna sub.h-dam dekhnā thā