Aziz Hyderabadi

zalim tere wadon ne diwana bana rakkha

Aziz Hyderabadi

zālim tire va.adoñ ne dīvāna banā rakkhā
sham-e-ruḳh-e-anvar kā parvāna banā rakkhā
sabza kī tarah mujh ko is gulshan-e-ālam meñ
apnoñ se bhī qismat ne begāna banā rakkhā
taqlīd ye achchhī kī saaqī ne mire dil kī
TuuTe hue shīshe kā paimāna banā rakhā
da.avā tirī ulfat kā kahne meñ nahīñ aatā
ġhairoñ nai magar is kā afsāna banā rakkhā
afsos na kī dil kī kuchh qadr 'azīz' afsos
ka.aba thā use tū ne but-ḳhāna banā rakkhā
Top Urdushayar.com