maiñ to kahtā huuñ tumhī dard ke darmāñ ho zarūr
aur vo kahte haiñ ki tum aaj pareshāñ ho zarūr
chaman-e-shahr to vīrāñ thā magar is ghar meñ
itnī nik.hat hai ki tum ek gulistāñ ho zarūr
mujh ko dikhlāo na apnī ye adā-e-jalva
chalo taslīm ki tum mujh meñ bhī pinhāñ ho zarūr
maiñ ki āvāra-tarab-kosh sharābī lekin
tum ki muḳhlis ho mirī zaat pe nāzāñ ho zarūr
nazm-o-afsāna likhūñ chup rahūñ yā baat karūñ
tum ba-har-rañg magar mujh meñ numāyāñ ho zarūr
varna kyuuñ aañkh meñ aañsū huuñ ba-vaqt-e-dushnām
dushmano tum bhī mirī ziist ke ḳhvāhāñ ho zarūr
dostoñ meñ to koī tum ko na pūchhegā 'salām'
azmat-e-raushnī-e-bazm-e-harīfāñ ho zarūr