nāznīnān-e-jahāñ shobada-gar pakke haiñ
dekhne ko to ye bhole haiñ magar pakke haiñ
ham luTā deñge mohabbat meñ matā-e-hastī
ham dikhā deñge irāde ke agar pakke haiñ
puḳhta-kārī kī ḳhabar detī hai ḳhāmī un kī
kaan ke kachche haiñ matlab ke magar pakke haiñ
ye to farmā.iye qasmoñ kī zarūrat kyā thī
aap iqrār ke va.ade ke agar pakke haiñ
ḳhauf tūfān-e-havādis kā nahīñ mujh ko 'azīz'
jin kī buniyād hai mazbūt vo ghar pakke haiñ