Aziz Hyderabadi

nale dam lete nahin ya-rab fughan rukti nahin

Aziz Hyderabadi

naale dam lete nahīñ yā-rab fuġhāñ ruktī nahīñ
go qafas meñ band huuñ lekin zabāñ ruktī nahīñ
Dar rahā huuñ TuuT jā.eñgī qafas kī tīliyāñ
kyā musībat hai havā-e-bostāñ ruktī nahīñ
dīdanī haiñ mulzim-e-hastī kī tūfāñ-ḳheziyāñ
Dūbne se kashti-e-umr-e-ravāñ ruktī nahīñ
uḌ ke ham pahuñcheñge manzil par havā-e-shauq meñ
kārvāñ ruk jaa.e gard-e-kārvāñ ruktī nahīñ
diqqateñ'' haa.el haiñ fann-e-sher meñ lekin 'azīz'
ek āñdhī hai mirī tab-e-ravāñ ruktī nahīñ
Top Urdushayar.com