Aziz Hyderabadi

kyun KHafa ho kyun idhar aate nahin

Aziz Hyderabadi

kyuuñ ḳhafā ho kyuuñ idhar aate nahīñ
dekhtā huuñ tum nazar aate nahīñ
vo ye kah kar daaġh dete haiñ mujhe
phuul se pahle samar aate nahīñ
ham haiñ vo mai-nosh pī kar bhī kabhī
mai-kade se be-ḳhabar aate nahīñ
dekhtā huuñ un kī sūrat dekh kar
dhuup meñ taare nazar aate nahīñ
niiñd to kyā niiñd ke jhoñke 'azīz'
hijr meñ vaqt-e-sahar aate nahīñ
Top Urdushayar.com