baḌh ga.iiñ gustāḳhiyāñ merī sazā ke saath saath
pyaar aatā hai tirī jaur-o-jafā ke saath saath
zo.af se rāh-e-mohabbat meñ qadam uThte nahīñ
paañv jamte haiñ zamīñ par naqsh-e-pā ke saath saath
chhūT kar kunj-e-qafas se nik.hat-e-gul kī tarah
ham bhī uḌ kar jā.eñge bād-e-sabā ke saath saath
sard aahoñ se phuñkā jaatā hai siine meñ jigar
ātish-e-ġham tez hotī hai havā ke saath saath
mere aañsū bhī bahe josh-e-mohabbat meñ 'azīz'
mere naale bhī rahe merī duā ke saath saath