nāra-e-takbīr bhī zāhid nisār-e-naġhma hai
kis qadar allāhu-akbar e'tibār-e-naġhma hai
kyā surīlī thī sadā-e-harf-e-kun roz-e-azal
ab tak rag rag hamārī be-qarār-e-naġhma hai
andalīb-e-ḳhush-navā par aañkh hai sayyād kī
nargis-e-shahlā sarāpā intizār-e-naġhma hai
tafraqa ho is tarah to kyā jame ishrat kā rañg
dil za.īf-o-nātavāñ lab zer-e-bār-e-naġhma hai
sher do haiñ hazrat-e-ġhālib ke dīvāñ meñ 'azīz'
ye ġhazal merī usī mai kā ḳhumār-e-naġhma hai