Salam Machhli shahri

wo chehre jo the husn ke tufan ki tarah

Salam Machhli shahri

Machli shahar, Uttar pradesh, India

1921-1973
vo chehre jo the husn ke tūfān kī tarah
kamroñ meñ chup haiñ kāġhzī gul-dān kī tarah
ye chāñd ye bahār kī rāteñ gavāh haiñ
ham ab bhī apne ghar meñ haiñ mehmān kī tarah
be-shak huzūr aap ḳhudā kī tarah raheñ
jiine kā haq hameñ bhī hai insān kī tarah
maiñ aaj zindagī kī kaḌī manziloñ meñ huuñ
ḳhud kah rahā huuñ miliye to anjān kī tarah
pahle gumān ye thā ki maiñ ḳhud huuñ rāz-e-zīst
ab phir rahā huuñ shahr meñ nādān kī tarah
laao maiñ us ko sāġhar-e-dil meñ sambhāl luuñ
botal meñ ik parī hai mirī jaan kī tarah
ġhālib ke shahr shāhid-o-naġhma meñ ham salām
bikhre paḌe haiñ 'mīr' ke dīvān kī tarah
Top Urdushayar.com