yuuñ ḳhalāoñ meñ nihāyat ġhaur se dekhā na kar
mere baare meñ mirī jaañ is qadar sochā na kar
bandagī ko log de lete haiñ kamzorī kā naam
ijz achchhā hai magar tū ḳhud ko naqsh-e-pā na kar
ho sake to dil meñ paidā kar mohabbat kā ḳhayāl
ye muqaddas lafz sat.h-e-āb par likhā na kar
reza reza ho rahe haiñ ā.īne iḳhlās ke
apnī āñkhoñ se ye manzar dekh par shikva na kar
de sake tujh ko kabhī terī vafāoñ kā javāb
us havāle se kabhī ruḳh jānib-e-duniyā na kar
jin kī ta.abīreñ nahīñ mumkin kabhī sultān-'rashk'
ho sake to is tarah ke ḳhvāb bhī dekhā na kar