ajab insān huuñ ḳhush-fahmiyoñ ke ghar meñ rahtā huuñ
maiñ jis manzar meñ huuñ gum us ke pas-e-manzar meñ rahtā huuñ
koī mānūs chaap aa.e surāġh-e-āgahī le kar
maiñ apnī ḳhvāhishoñ ke ḳhāna-e-be-dar meñ rahtā huuñ
jo mujh se merī hastī le gayā thā ek saa.at meñ
baḌī muddat se maiñ us shaḳhs ke paikar meñ rahtā huuñ
jo maiñ zāhir meñ huuñ vo to sarāb-e-zāt hai yaaro
maiñ apne zehn ke but-ḳhāna-e-āzar meñ rahtā huuñ
alāmat fikr-o-dānish kī jahāñ patthar hī patthar hai
mirī himmat ki is ahd-e-sitam-parvar meñ rahtā huuñ