duur se dekh rahe the mire ahbāb mujhe
apne hamrāh bahā le gayā sailāb mujhe
vo tire qurb kī ḳhushbū ko ayaañ ho na nihāñ
vo haqīqat bhī nazar aatī hai ik ḳhvāb mujhe
maiñ ki sāhil kā tamannā.ī thā lekin ab to
apne āġhosh meñ letā nahīñ girdāb mujhe
maiñ to sadiyoñ kā nindāsā huuñ magar ye to batāo
kyuuñ ye māhaul nazar aatā hai be-ḳhvāb mujhe
isti.āra huuñ na.e ahd meñ gum-shudagī kā
bhūlte jaate haiñ maazī ke hasīñ ḳhvāb mujhe
sar-e-hastī to usī chashm-e-gurezāñ se milā
kyā milā 'rashk' sar-e-mimbar-o-mehrāb mujhe