shagufta bachchoñ kā chehra dikhā.ī dene lage
maiñ kyā karūñ ki ujālā dikhā.ī dene lage
ye saḳht zulm hai mālik ki sub.h hote hī
tamām ghar meñ añdherā dikhā.ī dene lage
vo sirf maiñ huuñ jo sau jannateñ sajā kar bhī
udaas udaas sā tanhā dikhā.ī dene lage
maiñ kāmyāb jabhī hūñgā ai rubāb-e-hayāt
ki bazm ko tirā naġhma dikhā.ī dene lage
gulāb ugāne kī aadat se fā.eda kyā hai
agar gulāb meñ sho.ala dikhā.ī dene lage
mirā hī aks sahī phir bhī vo farishta hai
jo ġhair ho ke bhī apnā dikhā.ī dene lage
bahut aliil ho lekin ye buz-dilī hai 'salām'
ki tum ko maut kā saaya dikhā.ī dene lage