Sultan Rashk

zulmat ba-har-maqam KHilaf-e-talab mili

Sultan Rashk

zulmat ba-har-maqām ḳhilāf-e-talab milī
din kā surāġh DhūñDne vāloñ ko shab milī
ai dost tere husn-e-ināyat kī ḳhair ho
ye āgahī hameñ tire ġham ke sabab milī
yād-e-ġhazal-ruḳhāñ bhī ḳhayāl-e-ma.āsh bhī
āsūdgī dayār-e-tamanna meñ kab milī
nikle the tīrgī ke musalsal fareb se
jab raushnī milī to hameñ jāñ-ba-lab milī
qissa tirī vafā kā sitam rozgār ke
jo shai hameñ milī hai vahī muntaḳhab milī
fursat-talab masā.il-e-asr-e-ravāñ bhī the
lekin tire ḳhayāl se fursat hī kab milī
sultān-'rashk' ḳhud se shanāsā.ī ke liye
dekheñge ḳhvāb fursat-e-tābīr jab milī
Top Urdushayar.com