rasm-e-duniyā jaan kar hargiz na yārāna karo
dostī ke baab meñ dil kā kahā maanā karo
ek dhīmā sā tabassum rasm hī sī ban gayā
dosto apne parā.e ko to pahchānā karo
raushnī kā qaht hai par fikr-e-fardā kis liye
ḳhuun kī tanvīr se raushan siyah-ḳhāna karo
chhoTī-moTī baat ho to jins-e-ġham dete raho
jurm ho sañgīn to ḳhushiyoñ kā jurmāna karo
rasm-e-shabbīrī davām-e-zīst hai sultān-'rashk'
ziist karnī hai agar to sarfaroshāna karo